saikDon sal ki zaban hun main
saikḌoñ saal kī zabān huuñ maiñ
phir bhī be-jān dāstān huuñ maiñ
kuchh samajh meñ mire nahīñ aatā
maiñ zamīñ huuñ yā āsmān huuñ maiñ
tū hai raunaq mirī maiñ tere binā
ek vīrān sā makān huuñ maiñ
jis ḳhazāne kī tum talāsh meñ ho
us ḳhazāne kā ik nishān huuñ maiñ
sirf do-chār din kī baat nahīñ
zindagī bhar kā sā.ebān huuñ maiñ
saikDon sal ki zaban hun main
phir bhi be-jaan dastan hun main
kuchh samajh mein mere nahin aata
main zamin hun ya aasman hun main
tu hai raunaq meri main tere bina
ek viran sa makan hun main
jis KHazane ki tum talash mein ho
us KHazane ka ek nishan hun main
sirf do-chaar din ki baat nahin
zindagi bhar ka saeban hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.