sail-e-ashk-e-hazin bhi kuchh hai
sail-e-ashk-e-hazīn bhī kuchh hai
par mirī āstīn bhī kuchh hai
ai purāne ḳhayāl kī laḌkī
tujh meñ tāza-tarīn bhī kuchh hai
'mīr' ke dar pe reñgne vaalo
is ġhazal kī zamīn bhī kuchh hai
sāqiyā paḌh rahā hai bismillāh
is kā matlab hai diin bhī kuchh hai
terī āñkhoñ ko dekh kar jaanā
shā.irī se hasīn bhī kuchh hai
jo ugalte haiñ zahr ai 'hasrat'
un se kah do kī biin bhī kuchh hai
sail-e-ashk-e-hazin bhi kuchh hai
par meri aastin bhi kuchh hai
ai purane KHayal ki laDki
tujh mein taza-tarin bhi kuchh hai
'mir' ke dar pe rengne walo
is ghazal ki zamin bhi kuchh hai
saqiya paDh raha hai bismillah
is ka matlab hai din bhi kuchh hai
teri aankhon ko dekh kar jaana
shairi se hasin bhi kuchh hai
jo ugalte hain zahr ai 'hasrat'
un se kah do ki bin bhi kuchh hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.