sailabon ke baad hum aise diwane ho jate hain
sailāboñ ke ba.ad ham aise dīvāne ho jaate haiñ
apne ghar se us ke ghar tak pahroñ dauḌ lagāte haiñ
ham ne apne haath zamīñ meñ daab rakhe haiñ is Dar se
dast-e-talab phailāne vaale dīvāne kahlāte haiñ
un āñkhoñ kī sevā kar ke ham ne jaadū siikh liyā
jab bhī tabī.at ghabrātī hai patthar ke ho jaate haiñ
apne hijr kī baat alag hai apnā ishq musalsal hai
ḳhud se bichhaḌne lagte haiñ to us ke ghar ho aate haiñ
aadhī raat ko hastī kā mafhūm samajh meñ aatā hai
bām-o-dar ke sannāTe jab aapas meñ Takrāte haiñ
jaane kitnī gard jamī ho ḳhadd-o-ḳhāl pe rastoñ kī
is Dar se ham apne ghar meñ dastak de kar jaate haiñ
ab us par ilzām rakhe ye ḳhalq-e-ḳhudā to kyā kahiye
ham to us kī bāteñ kar ke apnā dil bahlāte haiñ
jis din us kī yaad aatī hai jiit sī apnī hotī hai
rasta rasta kūcha kūcha parcham se lahrāte haiñ
pahle purvā.ī se dil meñ ek kasak sī uThtī thī
ab ye mausam kuchh nahīñ karte lekin ḳhvāb dikhāte haiñ
maiñ ne apne josh meñ aa kar raqs kiyā thā ḳhud 'mohsin'
lekin merī bastī vaale us kā naam batāte haiñ
sailabon ke baad hum aise diwane ho jate hain
apne ghar se us ke ghar tak pahron dauD lagate hain
hum ne apne hath zamin mein dab rakhe hain is Dar se
dast-e-talab phailane wale diwane kahlate hain
un aankhon ki sewa kar ke hum ne jadu sikh liya
jab bhi tabiat ghabraati hai patthar ke ho jate hain
apne hijr ki baat alag hai apna ishq musalsal hai
KHud se bichhaDne lagte hain to us ke ghar ho aate hain
aadhi raat ko hasti ka mafhum samajh mein aata hai
baam-o-dar ke sannaTe jab aapas mein Takraate hain
jaane kitni gard jami ho KHadd-o-KHal pe raston ki
is Dar se hum apne ghar mein dastak de kar jate hain
ab us par ilzam rakhe ye KHalq-e-KHuda to kya kahiye
hum to us ki baaten kar ke apna dil bahlate hain
jis din us ki yaad aati hai jit si apni hoti hai
rasta rasta kucha kucha parcham se lahraate hain
pahle purwai se dil mein ek kasak si uThti thi
ab ye mausam kuchh nahin karte lekin KHwab dikhate hain
main ne apne josh mein aa kar raqs kiya tha KHud 'mohsin'
lekin meri basti wale us ka nam batate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.