sainkaDon gul hue KHush-rang chaman mein khil ke
saiñkaḌoñ gul hue ḳhush-rañg chaman meñ khil ke
āḳhirash ḳhaak hue ḳhaak meñ sab rul-mil ke
jis ghaḌī yaar mirā mujh se judā hone lagā
ro.e ham ḳhuub tarah us ke gale mil mil ke
aah kīdhar ko chale jaate ho chhoḌe tanhā
ham-raho ham bhī musāfir haiñ isī manzil ke
'lutf' ye sher kahā jis ne ajab shā.er thā
jis ke sunñe se hue TukḌe hazāroñ dil ke
sainkaDon gul hue KHush-rang chaman mein khil ke
aaKHirash KHak hue KHak mein sab rul-mil ke
jis ghaDi yar mera mujh se juda hone laga
roe hum KHub tarah us ke gale mil mil ke
aah kidhar ko chale jate ho chhoDe tanha
ham-raho hum bhi musafir hain isi manzil ke
'lutf' ye sher kaha jis ne ajab shaer tha
jis ke sunne se hue TukDe hazaron dil ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.