sainkaDon sar teri chaukhaT pe dhare milte hain
saiñkaḌoñ sar tirī chaukhaT pe dhare milte haiñ
tere kūche meñ jo milte haiñ mare milte haiñ
kis qadar duur haiñ mazmūn tire choTī ke
fikr ko arsh se do haath pare milte haiñ
naqd-e-dil le ke bhī bosa nahīñ dete hargiz
sīm-tan jo mujhe milte haiñ khare milte haiñ
kahte haiñ iid ko vo haath meñ ḳhanjar le kar
koī milne kī tamanna to kare milte haiñ
pur-ġhazab rahte haiñ aġhyār se ḳhālī ho kar
mujh se jis vaqt vo milte haiñ bhare milte haiñ
āñkhoñ kī raah se vo dil meñ samā.eñ kyūñkar
saḳht mushkil hai ki do tiin dare milte haiñ
sub.h kar dī shab-e-vasl us ne ye dam de de kar
terī qismat ke jo bose haiñ are milte haiñ
be-ḳhudī ne hameñ pheñkā hai bahut duur buto
tum se kyā apne se ham aap pare milte haiñ
yaad rahtī hai kisī shoḳh kī dhānī poshāk
mujh ko har vaqt mire zaḳhm hare milte haiñ
naqd-e-īmān pe de shaiḳh kī jhūTī saaqī
maal khoTā hai magar daam khare milte haiñ
chāvḌī qaaf hai yā ḳhuld-e-barīñ hai 'rāsiḳh'
jamghaTe hūroñ ke pariyoñ ke pare milte haiñ
sainkaDon sar teri chaukhaT pe dhare milte hain
tere kuche mein jo milte hain mare milte hain
kis qadar dur hain mazmun tere choTi ke
fikr ko arsh se do hath pare milte hain
naqd-e-dil le ke bhi bosa nahin dete hargiz
sim-tan jo mujhe milte hain khare milte hain
kahte hain id ko wo hath mein KHanjar le kar
koi milne ki tamanna to kare milte hain
pur-ghazab rahte hain aghyar se KHali ho kar
mujh se jis waqt wo milte hain bhare milte hain
aankhon ki rah se wo dil mein samaen kyunkar
saKHt mushkil hai ki do tin dare milte hain
subh kar di shab-e-wasl us ne ye dam de de kar
teri qismat ke jo bose hain are milte hain
be-KHudi ne hamein phenka hai bahut dur buto
tum se kya apne se hum aap pare milte hain
yaad rahti hai kisi shoKH ki dhani poshak
mujh ko har waqt mere zaKHm hare milte hain
naqd-e-iman pe de shaiKH ki jhuTi saqi
mal khoTa hai magar dam khare milte hain
chawDi qaf hai ya KHuld-e-barin hai 'rasiKH'
jamghaTe huron ke pariyon ke pare milte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.