sair-gahon mein na ab yaron ke bich
sair-gāhoñ meñ na ab yāroñ ke biich
hijr meñ huuñ chār-dīvāroñ ke biich
aap ko sach se agar parhez hai
baiThiye jākar taraf-dāroñ ke biich
ek laḌkī thī ki jis ke saath ham
sair karte the kabhī tāroñ ke biich
hādse ghar tak chale aate haiñ ab
baiTh kar chup-chāp aḳhbāroñ ke biich
is kahānī meñ mujhe lagtā hai 'yash'
baat ban saktī thī kirdāroñ ke biich
sair-gahon mein na ab yaron ke bich
hijr mein hun chaar-diwaron ke bich
aap ko sach se agar parhez hai
baiThiye jakar taraf-daron ke bich
ek laDki thi ki jis ke sath hum
sair karte the kabhi taron ke bich
hadse ghar tak chale aate hain ab
baiTh kar chup-chap aKHbaron ke bich
is kahani mein mujhe lagta hai 'yash'
baat ban sakti thi kirdaron ke bich
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.