sairab ho kabhi ye KHilaf-e-qayas hai
sairāb ho kabhī ye ḳhilāf-e-qayās hai
apnī nazar ko pyaas to sahrā kī pyaas hai
is meñ hai saarī husn-o-mohabbat se dilkashī
ye ziist varna maut hī kā iqtibās hai
ye dekhne kī shai nahīñ mahsūs kar ise
har phuul ke badan pe hayā kā libās hai
mātam-kunāñ hai shiddat-e-tūfāñ kī mauj mauj
kashtī mirī Dubo ke samundar udaas hai
yuuñ lamha lamha chhalke mirā jām-e-zindagī
bachche ke haath jaise labālab gilās hai
har aadmī banātā hai qismat ke zā.iche
har aadmī yahāñ to sitāra-shanās hai
ash.ār kyoñ na mere hoñ ḳhushbū kī khetiyāñ
ai 'jān' ḳhāk-e-pāk jo fan kī asaas hai
sairab ho kabhi ye KHilaf-e-qayas hai
apni nazar ko pyas to sahra ki pyas hai
is mein hai sari husn-o-mohabbat se dilkashi
ye zist warna maut hi ka iqtibas hai
ye dekhne ki shai nahin mahsus kar ise
har phul ke badan pe haya ka libas hai
matam-kunan hai shiddat-e-tufan ki mauj mauj
kashti meri Dubo ke samundar udas hai
yun lamha lamha chhalke mera jam-e-zindagi
bachche ke hath jaise labaalab gilas hai
har aadmi banata hai qismat ke zaiche
har aadmi yahan to sitara-shanas hai
ashaar kyon na mere hon KHushbu ki khetiyan
ai 'jaan' KHak-e-pak jo fan ki asas hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.