saja raha hun main duniya ko yun qarine se
sajā rahā huuñ maiñ duniyā ko yuuñ qarīne se
maza hī ḳhatm hai jiine kā mere jiine se
kaTā jigar hai phaTā dil badan mirā zaḳhmī
na faiz chāk-e-garebāñ ko ab ke siine se
'adū se kaisā gila hai vo rashk kā maarā
yahāñ to dost mile sab ke sab kamīne se
karūñ huuñ 'rūh' faqat pyaar kī hī mazdūrī
tabhī to aatī hai ḳhushbū mire pasīne se
saja raha hun main duniya ko yun qarine se
maza hi KHatm hai jine ka mere jine se
kaTa jigar hai phaTa dil badan mera zaKHmi
na faiz chaak-e-gareban ko ab ke sine se
'adu se kaisa gila hai wo rashk ka mara
yahan to dost mile sab ke sab kamine se
karun hun 'ruh' faqat pyar ki hi mazduri
tabhi to aati hai KHushbu mere pasine se
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.