sajaen mahfil-e-yaran na shaghl-e-jam karen
sajā.eñ mahfil-e-yārāñ na shaġhl-e-jām kareñ
to aur kaise tire ġham kā ehtirām kareñ
kise bulā.eñ chanāroñ meñ aadhī raat ga.e
agar kareñ to kise sub.h kā salām kareñ
basā.eñ qāf-e-tasavvur meñ ik parī-vash ko
kuchh aaj ishrat-e-hijrāñ kā ehtimām kareñ
julūs-e-shola-ruḳhāñ kis taraf ko guzregā
koī batā.e kahāñ ahl-e-dil qayām kareñ
chalo ki ḳhema-e-mahbūb koī duur nahīñ
uTho ki aaj kī shab meñ junūñ kā naam kareñ
hamāre jaam meñ mai bhī hai ḳhūn-e-dil bhī hai
ye dekhnā hai ḳhudā vaale kyā harām kareñ
sajaen mahfil-e-yaran na shaghl-e-jam karen
to aur kaise tere gham ka ehtiram karen
kise bulaen chanaron mein aadhi raat gae
agar karen to kise subh ka salam karen
basaen qaf-e-tasawwur mein ek pari-wash ko
kuchh aaj ishrat-e-hijran ka ehtimam karen
julus-e-shola-ruKHan kis taraf ko guzrega
koi batae kahan ahl-e-dil qayam karen
chalo ki KHema-e-mahbub koi dur nahin
uTho ki aaj ki shab mein junun ka nam karen
hamare jam mein mai bhi hai KHun-e-dil bhi hai
ye dekhna hai KHuda wale kya haram karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.