sajda tere qadmon pe rawa man chuke hain
sajda tire qadmoñ pe ravā maan chuke haiñ
ham tujh ko mohabbat meñ ḳhudā maan chuke haiñ
āñkhoñ se hai taḳhsīs na hoñToñ se ki ham log
sar-tā-ba-qadam tujh ko nasha maan chuke haiñ
chup-chāp se baiThe haiñ har ik naqsh miTā kar
thak haar ke duniyā kā kahā maan chuke haiñ
ai chāragaro zahmat-e-be-jā na karo tum
ḳhud dard ko ham log davā maan chuke haiñ
kyoñ aaj tum is baat ko phir chheḌ rahe ho
jis baat kā 'muztar' vo burā maan chuke haiñ
sajda tere qadmon pe rawa man chuke hain
hum tujh ko mohabbat mein KHuda man chuke hain
aankhon se hai taKHsis na honTon se ki hum log
sar-ta-ba-qadam tujh ko nasha man chuke hain
chup-chap se baiThe hain har ek naqsh miTa kar
thak haar ke duniya ka kaha man chuke hain
ai chaaragaro zahmat-e-be-ja na karo tum
KHud dard ko hum log dawa man chuke hain
kyon aaj tum is baat ko phir chheD rahe ho
jis baat ka 'muztar' wo bura man chuke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.