saje hue baam-o-dar se aage ki sochta hun
saje hue bām-o-dar se aage kī sochtā huuñ
maiñ ghar banā kar bhī ghar se aage kī sochtā huuñ
kahīñ añdhere meñ jā basūñgā charāġh ban kar
maiñ tere shams-o-qamar se aage kī sochtā huuñ
tujhe samundar se kuchh nahīñ aur lenā denā
magar maiñ la.al-o-guhar se aage kī sochtā huuñ
saje hue baam-o-dar se aage ki sochta hun
main ghar bana kar bhi ghar se aage ki sochta hun
kahin andhere mein ja basunga charagh ban kar
main tere shams-o-qamar se aage ki sochta hun
tujhe samundar se kuchh nahin aur lena dena
magar main lal-o-guhar se aage ki sochta hun
- Book : Paniyon Se Alag (Pg. 69)
- Author : Shamsheer Haider
- Publication : Rumail House of Publication (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.