sajti hai ahl-e-dil ki ye mahfil kabhi kabhi
sajtī hai ahl-e-dil kī ye mahfil kabhī kabhī
miltī hai zindagī meñ ye manzil kabhī kabhī
manzar zarā ye dil ke taḌapne kā dekh le
miltā hai ye nazāra-e-bismil kabhī kabhī
lekin vo husn ko bhī milī kab rah-e-vafā
maanā bhaTak gayā hai mirā dil kabhī kabhī
jaane ye raaz kyā hai ki āsān raah ko
ḳhud rāhbar banātā hai mushkil kabhī kabhī
sajti hai ahl-e-dil ki ye mahfil kabhi kabhi
milti hai zindagi mein ye manzil kabhi kabhi
manzar zara ye dil ke taDapne ka dekh le
milta hai ye nazara-e-bismil kabhi kabhi
lekin wo husn ko bhi mili kab rah-e-wafa
mana bhaTak gaya hai mera dil kabhi kabhi
jaane ye raaz kya hai ki aasan rah ko
KHud rahbar banata hai mushkil kabhi kabhi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.