saKHt dushwar hai pahlu mein bachana dil ka
saḳht dushvār hai pahlū meñ bachānā dil kā
kuchh nigāhoñ se barastā hai churānā dil kā
haa.e dil aur dil-e-zār ke ham se bartāo
aur phir tum se dil-e-zār pe aanā dil kā
sham.a se zīnat-e-pahlū hai na parvāne se
tum ko manzūr hai har tarah jalānā dil kā
nāseho zulf ke uljhāv bure hote haiñ
kuchh hañsī-khel samajhte ho chhuḌānā dil kā
qahr Dhaa.e tire iz.hār-e-tamannā ne 'zahīr'
haal kahtā hai kisī se koī daanā dil kā
saKHt dushwar hai pahlu mein bachana dil ka
kuchh nigahon se barasta hai churana dil ka
hae dil aur dil-e-zar ke hum se bartao
aur phir tum se dil-e-zar pe aana dil ka
shama se zinat-e-pahlu hai na parwane se
tum ko manzur hai har tarah jalana dil ka
naseho zulf ke uljhaw bure hote hain
kuchh hansi-khel samajhte ho chhuDana dil ka
qahr Dhae tere izhaar-e-tamanna ne 'zahir'
haal kahta hai kisi se koi dana dil ka
- Book : Intekhab-e-Sukhan(Jild-2) (Pg. 194)
- Author : Hasrat Mohani
- Publication : uttar pradesh urdu academy (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.