saKHt mushkil hua ab sahab-e-iman hona
saḳht mushkil huā ab sāhab-e-īmāñ honā
nahīñ is daur meñ āsān musalmāñ honā
har qadam par hai yahāñ rāhzanoñ kā ḳhatra
ham to bebas haiñ ḳhudāyā tū nigahbāñ honā
ḳhatm hotā hī nahīñ silsila-e-ranj-o-alam
mushkiloñ ne mirī sīkhā nahīñ āsāñ honā
barkateñ rizq kī baḌh jaatī haiñ us ke dam se
bā.is-e-ḳhair hai ghar meñ koī mehmāñ honā
dil meñ ho jaatā hai tūfān-e-qayāmat barpā
dosh-e-mahbūb pe zulfoñ kā pareshāñ honā
kaash kah deñ vo mohabbat bhare andāz meñ phir
mere 'ahsan' zarā ik baar ġhazal-ḳhvāñ honā
saKHt mushkil hua ab sahab-e-iman hona
nahin is daur mein aasan musalman hona
har qadam par hai yahan rahzanon ka KHatra
hum to bebas hain KHudaya tu nigahban hona
KHatm hota hi nahin silsila-e-ranj-o-alam
mushkilon ne meri sikha nahin aasan hona
barkaten rizq ki baDh jati hain us ke dam se
bais-e-KHair hai ghar mein koi mehman hona
dil mein ho jata hai tufan-e-qayamat barpa
dosh-e-mahbub pe zulfon ka pareshan hona
kash kah den wo mohabbat bhare andaz mein phir
mere 'ahsan' zara ek bar ghazal-KHwan hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.