saKHt na-hamwar o mushkil tha magar aisa na tha
saḳht nā-hamvār o mushkil thā magar aisā na thā
maiñ ne jab rāheñ tarāshī thiiñ safar aisā na thā
kis zamāne kā havāla de rahe ho dosto
aaj se pahle to jiine kā hunar aisā na thā
shāmil-e-hālāt agar hotīñ na kuchh ḳhush-fahmiyāñ
merī qismat meñ bhaTaknā dar-ba-dar aisā na thā
mujh se kyoñ mansūb ho baiThīñ vafā kī ne.amateñ
maiñ to apne vāste bhī mo'atabar aisā na thā
maiñ kahāñ aisā ki jhuTlā.ūñ tumheñ lekin ye hai
maiñ ne jab dekhā jahāñ dekhā bashar aisā na thā
aaj tak bainassutūr uljhī huī tahrīr huuñ
maiñ ki patthar thā magar patthar-nazar aisā na thā
maiñ ne kis buute pe dī 'hairat' sadā tūfān ko
mere ḳhvāboñ kā shabistāñ merā ghar aisā na thā
saKHt na-hamwar o mushkil tha magar aisa na tha
main ne jab rahen tarashi thin safar aisa na tha
kis zamane ka hawala de rahe ho dosto
aaj se pahle to jine ka hunar aisa na tha
shamil-e-haalat agar hotin na kuchh KHush-fahmiyan
meri qismat mein bhaTakna dar-ba-dar aisa na tha
mujh se kyon mansub ho baiThin wafa ki neamaten
main to apne waste bhi mo'atabar aisa na tha
main kahan aisa ki jhuTlaun tumhein lekin ye hai
main ne jab dekha jahan dekha bashar aisa na tha
aaj tak bainassutur uljhi hui tahrir hun
main ki patthar tha magar patthar-nazar aisa na tha
main ne kis bute pe di 'hairat' sada tufan ko
mere KHwabon ka shabistan mera ghar aisa na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.