Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saKHtiyan karta hun dil par ghair se ghafil hun main

Allama Iqbal

saKHtiyan karta hun dil par ghair se ghafil hun main

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    Interesting Fact

    From Part-1 till 1905 (Bang-e-Dara)

    saḳhtiyāñ kartā huuñ dil par ġhair se ġhāfil huuñ maiñ

    haa.e kyā achchhī kahī zālim huuñ maiñ jāhil huuñ maiñ

    maiñ jabhī tak thā ki terī jalva-pairā.ī na thī

    jo numūd-e-haq se miT jaatā hai vo bātil huuñ maiñ

    ilm ke dariyā se nikle ġhota-zan gauhar-ba-dast

    vaa.e mahrūmī ḳhazaf chain lab sāhil huuñ maiñ

    hai mirī zillat kuchh merī sharāfat dalīl

    jis ġhaflat ko malak rote haiñ vo ġhāfil huuñ maiñ

    bazm-e-hastī apnī ārā.ish pe nāzāñ na ho

    to ik tasvīr hai mahfil aur mahfil huuñ maiñ

    DhūñDhtā phirtā huuñ maiñ 'iqbāl' apne-āp ko

    aap goyā musāfir aap manzil huuñ maiñ

    saKHtiyan karta hun dil par ghair se ghafil hun main

    hae kya achchhi kahi zalim hun main jahil hun main

    main jabhi tak tha ki teri jalwa-pairai na thi

    jo numud-e-haq se miT jata hai wo baatil hun main

    ilm ke dariya se nikle ghota-zan gauhar-ba-dast

    wae mahrumi KHazaf chain lab sahil hun main

    hai meri zillat hi kuchh meri sharafat ki dalil

    jis ki ghaflat ko malak rote hain wo ghafil hun main

    bazm-e-hasti apni aaraish pe tu nazan na ho

    tu to ek taswir hai mahfil ki aur mahfil hun main

    DhunDhta phirta hun main 'iqbaal' apne-ap ko

    aap hi goya musafir aap hi manzil hun main

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now