saKHtiyon se guzar raha hun main
saḳhtiyoñ se guzar rahā huuñ maiñ
goyā qistoñ meñ mar rahā huuñ maiñ
dostoñ kī navāzisheñ tauba
apne saaye se Dar rahā huuñ maiñ
zulmatoñ kā ġhurūr TūTegā
nuur ban kar ubhar rahā huuñ maiñ
ek aalam to yuuñ bhī guzrā hai
aap se be-ḳhabar rahā huuñ maiñ
koī aa kar sameT le mujh ko
reza reza bikhar rahā huuñ maiñ
chun ke kāñTe 'vaqār' nafrat ke
apne dāman meñ bhar rahā huuñ maiñ
saKHtiyon se guzar raha hun main
goya qiston mein mar raha hun main
doston ki nawazishen tauba
apne saye se Dar raha hun main
zulmaton ka ghurur TuTega
nur ban kar ubhar raha hun main
ek aalam to yun bhi guzra hai
aap se be-KHabar raha hun main
koi aa kar sameT le mujh ko
reza reza bikhar raha hun main
chun ke kanTe 'waqar' nafrat ke
apne daman mein bhar raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.