saki mukh safhe par tere likhya raqim malak misra
sakī mukh safhe par tere likhyā rāqim malak misrā
ḳhafī ḳhat suuñ likhyā nāzuk tire donoñ palak misrā
qalam le kar jalī likhyā jo kuī bhī nā sakeñ likhne
likhyā hai vo kadhin mukh tere safhe par alak misrā
sū likh likh kar pareshāñ ho qalam laT aap kahte haiñ
muqābil uus ke hose na likheñge gar do lak misrā
bazāñ kar dekh mukh dhun kā davānī ho bahāne suuñ
kiye sab ḳhush-navesāñ saT qalam likh na.iiñ na sak misrā
qalam mukhḌe suuñ nāsik le likhe hai lab ko surḳhī suuñ
jo kuī bhī dekh kahte haiñ likhyā hai kyā ḳhubak misrā
sakī ke kuch pe nāzuk ḳhat na būjhe koī kine likhyā
'qutub' kuuñ pūchhe tū yuuñ ke likhyā hai merā nak misrā
saki mukh safhe par tere likhya raqim malak misra
KHafi KHat sun likhya nazuk tere donon palak misra
qalam le kar jali likhya jo kui bhi na saken likhne
likhya hai wo kadhin mukh tere safhe par alak misra
su likh likh kar pareshan ho qalam laT aap kahte hain
muqabil us ke hose na likhenge gar do lak misra
bazan kar dekh mukh dhun ka dawani ho bahane sun
kiye sab KHush-nawesan saT qalam likh nain na sak misra
qalam mukhDe sun nasik le likhe hai lab ko surKHi sun
jo kui bhi dekh kahte hain likhya hai kya KHubak misra
saki ke kuch pe nazuk KHat na bujhe koi kine likhya
'qutub' kun puchhe tu yun ke likhya hai mera nak misra
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.