Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

salam ek payam hai payam ek salam hai

Sarshar Hoshyarpuri

salam ek payam hai payam ek salam hai

Sarshar Hoshyarpuri

MORE BYSarshar Hoshyarpuri

    salām ik payām hai payām ik salām hai

    salām phir salām hai payām phir payām hai

    tirā vajūd ḳhaas hai mirā vajūd aam hai

    barā.e-nām sahī mirā bhī kuchh maqām hai

    na dhuup hai na chhāñv hai na sub.h hai na shaam hai

    ye kaun dayār hai ye kaun maqām hai

    salām jān-o-māl ke muhāfizoñ salām hai

    darinda be-lagām hai parinda zer-e-dām hai

    na fursat-e-qarār hai na fursat-e-qiyām hai

    safar bhī nā-tamām hai lagan bhī nā-tamām hai

    barūn-e-mai-kada kyoñ ye rok-Tok pūchh-tāchh

    tirī taraf se sāqiyā agarche izn-e-ām hai

    ye ūñch-nīch zāt-pāt chhūt-chhāt bhed-bhāv

    tire liye halāl hai mire liye harām hai

    nigāh fareb hai nahīñ kuchh aur dosto

    vahī mah-e-tamām hai vahī mah-e-siyām hai

    salam ek payam hai payam ek salam hai

    salam phir salam hai payam phir payam hai

    tera wajud KHas hai mera wajud aam hai

    barae-nam hi sahi mera bhi kuchh maqam hai

    na dhup hai na chhanw hai na subh hai na sham hai

    ye kaun sa dayar hai ye kaun sa maqam hai

    salam jaan-o-mal ke muhafizon salam hai

    darinda be-lagam hai parinda zer-e-dam hai

    na fursat-e-qarar hai na fursat-e-qiyam hai

    safar bhi na-tamam hai lagan bhi na-tamam hai

    barun-e-mai-kada hi kyon ye rok-Tok puchh-tachh

    teri taraf se saqiya agarche izn-e-am hai

    ye unch-nich zat-pat chhut-chhat bhed-bhaw

    tere liye halal hai mere liye haram hai

    nigah ka fareb hai nahin kuchh aur dosto

    wahi mah-e-tamam hai wahi mah-e-siyam hai

    Source :
    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now