salamti ki dua ka samar bana hua hai
salāmtī kī duā kā samar banā huā hai
tumhāre baaġh kā paudā shajar banā huā hai
vo jis ke vāste phūloñ kā ehtimām huā
fazā-e-dil se vahī be-ḳhabar banā huā hai
mile jo koī mujhe dil churāne lag jaa.e
tamām shahr tirā jādūgar banā huā hai
kahīñ pe mas.ala fōtpath par tajāvuz kā
kahīñ pe mas.ala dīvār-o-dar banā huā hai
sukūn kyuuñ nahīñ karte thake hue manzar
tumhārī aañkh meñ bistar agar banā huā hai
salamti ki dua ka samar bana hua hai
tumhaare bagh ka pauda shajar bana hua hai
wo jis ke waste phulon ka ehtimam hua
faza-e-dil se wahi be-KHabar bana hua hai
mile jo koi mujhe dil churane lag jae
tamam shahr tera jadugar bana hua hai
kahin pe masala footpath par tajawuz ka
kahin pe masala diwar-o-dar bana hua hai
sukun kyun nahin karte thake hue manzar
tumhaari aankh mein bistar agar bana hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.