salat-o-saum gae sab ibaadaten bhi gain
salāt-o-saum ga.e sab ibādateñ bhī ga.iiñ
tumhāre baad mirī sab riyāzateñ bhī ga.iiñ
vo jashn-e-dīd vo mahkī huī hasīñ shāmeñ
jo saath ham ne guzārīñ vo sā.ateñ bhī ga.iiñ
na terī zulf kī ḳhushbū na vo tabassum hai
jo tū ne kī thiiñ kabhī vo ri.āyateñ bhī ga.iiñ
vo rang-o-bū vo surūr-e-mahāfil-e-yārāñ
vo qurbateñ bhī ga.iiñ vo ināyateñ bhī ga.iiñ
vo terī shoḳh hañsī khil-khilāte vo lahje
ḳhayāl-o-ḳhvāb hue to samā.ateñ bhī ga.iiñ
na ratjage haiñ vo 'shāhid' na ab vo bazm-e-suḳhan
vo sher sunñe sunāne kī ādateñ bhī ga.iiñ
salat-o-saum gae sab ibaadaten bhi gain
tumhaare baad meri sab riyazaten bhi gain
wo jashn-e-did wo mahki hui hasin shamen
jo sath hum ne guzarin wo saaten bhi gain
na teri zulf ki KHushbu na wo tabassum hai
jo tu ne ki thin kabhi wo riayaten bhi gain
wo rang-o-bu wo surur-e-mahafil-e-yaran
wo qurbaten bhi gain wo inayaten bhi gain
wo teri shoKH hansi khil-khilate wo lahje
KHayal-o-KHwab hue to samaaten bhi gain
na ratjage hain wo 'shahid' na ab wo bazm-e-suKHan
wo sher sunne sunane ki aadaten bhi gain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.