salib-e-mauja-e-ab-e-hawa pe likkha hun
salīb-e-mauja-e-āb-e-havā pe likkhā huuñ
azal se tā-ba-abad harf harf bikhrā huuñ
vajūd vahm mirā ham-safar rahā din bhar
fasīl-e-shām se dekhā to saaya saaya huuñ
sameT leñge kisī din nigāh mausam kī
shajar shajar pe abhī apnā naam likhtā huuñ
chahār samt ghirā huuñ maiñ pāniyoñ meñ yahāñ
mirā ye karb ki ik Dūbtā jazīra huuñ
havā ke saath kahāñ tak uḌaan bhartā huuñ
hudūd-e-jism meñ ik par-kaTā parinda huuñ
salib-e-mauja-e-ab-e-hawa pe likkha hun
azal se ta-ba-abad harf harf bikhra hun
wajud wahm mera ham-safar raha din bhar
fasil-e-sham se dekha to saya saya hun
sameT lenge kisi din nigah mausam ki
shajar shajar pe abhi apna nam likhta hun
chahaar samt ghira hun main paniyon mein yahan
mera ye karb ki ek Dubta jazira hun
hawa ke sath kahan tak uDan bharta hun
hudud-e-jism mein ek par-kaTa parinda hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.