Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

salib-e-wahshat mein qaid ho kar tumhaari furqat mana rahi hun

Hira Qasmi

salib-e-wahshat mein qaid ho kar tumhaari furqat mana rahi hun

Hira Qasmi

MORE BYHira Qasmi

    salīb-e-vahshat meñ qaid ho kar tumhārī furqat manā rahī huuñ

    qarīb aao aur aa ke dekho maiñ kaise ġham ko baḌhā rahī huuñ

    junūñ bastī meñ aa ke jaanā ma.aal maiñ ne mohabbatoñ

    so fasl-e-gul ko mohabbatoñ har ek nauha sunā rahī huuñ

    mire muqaddar meñ chaar jānib hai yuuñ to vahshat bol-bālā

    magar maiñ hamdam tumhārī rah meñ gulāb-rut ko bichhā rahī huuñ

    tabīb mere ḳhabar hai tum ko miTāne apnī ye tīra-baḳhtī

    maiñ shab ki qirtās par lahū se tumhārī āñkheñ banā rahī huuñ

    ḳhushī ke kuchh pal bahār mujh ko kabhī jo ḳhairāt kar ga.ī thī

    maiñ ḳhud ko patjhaḌ-mizāj kar ke ab us qarza chukā rahī huuñ

    salib-e-wahshat mein qaid ho kar tumhaari furqat mana rahi hun

    qarib aao aur aa ke dekho main kaise gham ko baDha rahi hun

    junun ki basti mein aa ke jaana maal main ne mohabbaton ka

    so fasl-e-gul ko mohabbaton ka har ek nauha suna rahi hun

    mere muqaddar mein chaar jaanib hai yun to wahshat ka bol-baala

    magar main hamdam tumhaari rah mein gulab-rut ko bichha rahi hun

    tabib mere KHabar hai tum ko miTane apni ye tira-baKHti

    main shab ki qirtas par lahu se tumhaari aankhen bana rahi hun

    KHushi ke kuchh pal bahaar mujh ko kabhi jo KHairaat kar gai thi

    main KHud ko patjhaD-mizaj kar ke ab us ka qarza chuka rahi hun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now