saliqa ishq mein mera baDe kamal ka tha
salīqa ishq meñ merā baḌe kamāl kā thā
ki iḳhtiyār bhī dil par 'ajab misāl kā thā
maiñ apne naqsh banātī thī jis meñ bachpan se
vo aa.ina to kisī aur ḳhat-o-ḳhāl kā thā
rafū maiñ kartī rahī pairahan ko aur idhar
gumāñ use mire zaḳhmoñ ke indimāl kā thā
ye aur baat ki ab chashm-posh ho jaa.e
kabhī to 'ilm use bhī hamāre haal kā thā
mohabbatoñ meñ maiñ qaa.il thī lab na khulne kī
javāb varna mire paas har savāl kā thā
daraḳht jaḌ se ukhaḌne ke mausamoñ meñ bhī
havā kā pyaar shajar se 'ajab kamāl kā thā
kitāb kis kī masāfat kī likh rahī hai havā
ye qarz us kī taraf kis ke maah o saal kā thā
saliqa ishq mein mera baDe kamal ka tha
ki iKHtiyar bhi dil par 'ajab misal ka tha
main apne naqsh banati thi jis mein bachpan se
wo aaina to kisi aur KHat-o-KHal ka tha
rafu main karti rahi pairahan ko aur idhar
guman use mere zaKHmon ke indimal ka tha
ye aur baat ki ab chashm-posh ho jae
kabhi to 'ilm use bhi hamare haal ka tha
mohabbaton mein main qail thi lab na khulne ki
jawab warna mere pas har sawal ka tha
daraKHt jaD se ukhaDne ke mausamon mein bhi
hawa ka pyar shajar se 'ajab kamal ka tha
kitab kis ki masafat ki likh rahi hai hawa
ye qarz us ki taraf kis ke mah o sal ka tha
- Book : Beesveen Sadi Ki Behtareen Ishqiya Ghazlen (Pg. 124)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.