saltanat jati rahi sultan aadha rah gaya
saltanat jaatī rahī sultān aadhā rah gayā
DevḌhī girvī huī dālān aadhā rah gayā
ham hue āzād hindustān aadhā rah gayā
phir ta.ajjub kyā jo pākistān aadhā rah gayā
aql se fāriġh huā insān aadhā rah gayā
iid do-bālā huī ramzān aadhā rah gayā
jītne ke baad vo jūñhī minister ho ga.e
goyā un par qaum kā ehsān aadhā rah gayā
sach kā dāman thaam kar achchhā kiyā tū ne magar
ab taraqqī kā tirī imkān aadhā rah gayā
muskurā kar jab ulaT dī us ne chehre se naqāb
dil meñ jo barpā thā vo tūfān aadhā rah gayā
ham ne sochā thā ki khā.eñge havā.eñ jail kī
ho ga.e lekin barī armān aadhā rah gayā
jab se maiñ ustād-shā.ir ho gayā huuñ shahr kā
ġhair matbūā mirā dīvān aadhā rah gayā
jab talak zinda rahe 'mansūr' vo puurā rahā
mar ga.e ibn-e-safī imrān aadhā rah gayā
saltanat jati rahi sultan aadha rah gaya
DewDhi girwi hui dalan aadha rah gaya
hum hue aazad hindustan aadha rah gaya
phir tajjub kya jo pakistan aadha rah gaya
aql se farigh hua insan aadha rah gaya
id do-baala hui ramzan aadha rah gaya
jitne ke baad wo junhi minister ho gae
goya un par qaum ka ehsan aadha rah gaya
sach ka daman tham kar achchha kiya tu ne magar
ab taraqqi ka teri imkan aadha rah gaya
muskura kar jab ulaT di us ne chehre se naqab
dil mein jo barpa tha wo tufan aadha rah gaya
hum ne socha tha ki khaenge hawaen jail ki
ho gae lekin bari arman aadha rah gaya
jab se main ustad-shair ho gaya hun shahr ka
ghair matbua mera diwan aadha rah gaya
jab talak zinda rahe 'mansur' wo pura raha
mar gae ibn-e-safi imran aadha rah gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.