sama kar dil mein nazron se nihan hai
samā kar dil meñ nazroñ se nihāñ hai
mujhe yaad aane vaale tū kahāñ hai
ḳhudā.ī kahkashāñ kahtī hai jis ko
vo azrā kā ḳhirām-e-rā.egāñ hai
añdhere bādaloñ se pūchh zāhid
mirī khoī huī tauba kahāñ hai
ye kis ne pyaar kī nazroñ se dekhā
ki mere dil kī duniyā phir javāñ hai
javānī rā.egāñ jaa.e to achchhā
javānī ek ḳhvāb-e-rā.egāñ hai
sama kar dil mein nazron se nihan hai
mujhe yaad aane wale tu kahan hai
KHudai kahkashan kahti hai jis ko
wo azra ka KHiram-e-raegan hai
andhere baadalon se puchh zahid
meri khoi hui tauba kahan hai
ye kis ne pyar ki nazron se dekha
ki mere dil ki duniya phir jawan hai
jawani raegan jae to achchha
jawani ek KHwab-e-raegan hai
- Book : Kulliyat-e-Akhtar Shirani (Pg. 252)
- Author : Akhtar Shirani
- Publication : Modern Publishing House, Daryaganj New delhi (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.