samaat aap ki aahaT pe aa kar TuT jati hai
samā.at aap kī aahaT pe aa kar TuuT jaatī hai
ki ye vo naav hai jo taT pe aa kar TuuT jaatī hai
tujhe hāthoñ se chhūne kī zarūrat hī nahīñ paḌtī
havas merī tirī chaukhaT pe aa kar TuuT jaatī hai
nazar merī tire māthe kī silvaT pe hī rahtī hai
ḳhushī merī isī silvaT pe aa kar TuuT jaatī hai
samaat aap ki aahaT pe aa kar TuT jati hai
ki ye wo naw hai jo taT pe aa kar TuT jati hai
tujhe hathon se chhune ki zarurat hi nahin paDti
hawas meri teri chaukhaT pe aa kar TuT jati hai
nazar meri tere mathe ki silwaT pe hi rahti hai
KHushi meri isi silwaT pe aa kar TuT jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.