samaat par dabaw waqt ka munh-zor hota hai
samā'at par dabāv vaqt kā muñh-zor hotā hai
ḳhamoshī ke ta'āqub meñ hamesha shor hotā hai
tumhārā naam le kar khīñchtī huuñ aa.ine par ḳhat
jhapaktī huuñ zarā āñkheñ to chehra aur hotā hai
mujhe kyoñ har zamāna ḳhuun meñ lat-pat milā hai phir
baḌoñ se jab sunā thā zulm kā ik daur hotā hai
ḳhudārā muftiyān-e-shahr se koī to ye pūchhe
churā.e roTiyāñ bhūkā agar to chor hotā hai
hamāre haañ bichhaḌnā bhī kabīra nekiyoñ meñ hai
hamāre haañ musalsal 'ishq ab is taur hotā hai
koī sachchī kahāvat hai mohabbat vo laḌā.ī hai
laḌe jo jītne ke shauq meñ kamzor hotā hai
tabhī to 'sa.adiya' khul kar nahīñ miltī kisī se maiñ
bichhaḌnā zehn meñ pahle hī zer-e-ġhaur hotā hai
sama'at par dabaw waqt ka munh-zor hota hai
KHamoshi ke ta'aqub mein hamesha shor hota hai
tumhaara nam le kar khinchti hun aaine par KHat
jhapakti hun zara aankhen to chehra aur hota hai
mujhe kyon har zamana KHun mein lat-pat mila hai phir
baDon se jab suna tha zulm ka ek daur hota hai
KHudara muftiyan-e-shahr se koi to ye puchhe
churae roTiyan bhuka agar to chor hota hai
hamare han bichhaDna bhi kabira nekiyon mein hai
hamare han musalsal 'ishq ab is taur hota hai
koi sachchi kahawat hai mohabbat wo laDai hai
laDe jo jitne ke shauq mein kamzor hota hai
tabhi to 'sadiya' khul kar nahin milti kisi se main
bichhaDna zehn mein pahle hi zer-e-ghaur hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.