samaaten use apnaen ye to tai bhi nahin
samā.ateñ use apnā.eñ ye to tai bhī nahīñ
mire kalām meñ tum jaisī koī lai bhī nahīñ
tū aab hai jise mil jaa.e us ko jīvan de
maiñ ek sang huuñ merā kahīñ vilai bhī nahīñ
kisī maqām pe jibrīl bhī ThiThakte haiñ
aur ek ham haiñ ki ham ko kisī kā bhay bhī nahīñ
azal se teġh-ba-kaf laḌ rahī haiñ do samteñ
ik aisī jang ke jis meñ koī vijay bhī nahīñ
kisī kī raah meñ baiThe hue ye sochte haiñ
hamāre paas kisī ke liye samay bhī nahīñ
maiñ us ko khone kī himmat nahīñ juTā saktā
vo ek shai mirī taqdīr meñ jo hai bhī nahīñ
samaaten use apnaen ye to tai bhi nahin
mere kalam mein tum jaisi koi lai bhi nahin
tu aab hai jise mil jae us ko jiwan de
main ek sang hun mera kahin wilai bhi nahin
kisi maqam pe jibril bhi ThiThakte hain
aur ek hum hain ki hum ko kisi ka bhay bhi nahin
azal se tegh-ba-kaf laD rahi hain do samten
ek aisi jang ke jis mein koi wijay bhi nahin
kisi ki rah mein baiThe hue ye sochte hain
hamare pas kisi ke liye samay bhi nahin
main us ko khone ki himmat nahin juTa sakta
wo ek shai meri taqdir mein jo hai bhi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.