samaaton ke liye raaz chhoD aae hain
samā.atoñ ke liye raaz chhoḌ aa.e haiñ
ham us ke shahr meñ āvāz chhoḌ aa.e haiñ
ham us kī soch meñ imkān-e-intihā se alag
nayā safar nayā āġhāz chhoḌ aa.e haiñ
muzākarāt sar-e-vasl kāmyāb rahe
jo kuchh kiyā thā pas-andāz chhoḌ aa.e haiñ
havā meñ uḌtā huā rizq pā liyā lekin
parinde jur.at-e-parvāz chhoḌ aa.e haiñ
laboñ ko us kī hathelī pe rakh ke ham 'mohsin'
taḳhaiyyulāt ke e.ajāz chhoḌ aa.e haiñ
samaaton ke liye raaz chhoD aae hain
hum us ke shahr mein aawaz chhoD aae hain
hum us ki soch mein imkan-e-intiha se alag
naya safar naya aaghaz chhoD aae hain
muzakaraat sar-e-wasl kaamyab rahe
jo kuchh kiya tha pas-andaz chhoD aae hain
hawa mein uDta hua rizq pa liya lekin
parinde jurat-e-parwaz chhoD aae hain
labon ko us ki hatheli pe rakh ke hum 'mohsin'
taKHaiyyulat ke eajaz chhoD aae hain
- Book : shor bhi sannata bhi (rekhta website) (Pg. 125)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.