samaaton mein bahut dur ki sada le kar
samā.atoñ meñ bahut duur kī sadā le kar
bhaTak rahā huuñ maiñ ik ḳhvāb kā patā le kar
tumhārī yaad baras jaa.e to thakan kam ho
kahāñ kahāñ maiñ phirūñ sar pe ab ghaTā le kar
tamām hijr ke māroñ sā shab ke dariyā meñ
maiñ Duub jā.ūñ vahī chāñd kā ghaḌā le kar
tumhārā ḳhvāb bhī aa.e to niiñd puurī ho
maiñ so to jā.ūñgā niiñd aane kī davā le kar
maiñ ḳhud se duur nikaltā gayā udhaḌtā huā
ḳhud apnī zaat se niklā huā sirā le kar
tamām shahr kī ta.amīr dhuup ne kī hai
milegī chhāñv bhī us kā hī aasrā le kar
bachā hai mujh meñ bas ik āḳhirī sharar 'ātish'
koī to aa.e tirī yaad kī havā le kar
samaaton mein bahut dur ki sada le kar
bhaTak raha hun main ek KHwab ka pata le kar
tumhaari yaad baras jae to thakan kam ho
kahan kahan main phirun sar pe ab ghaTa le kar
tamam hijr ke maron sa shab ke dariya mein
main Dub jaun wahi chand ka ghaDa le kar
tumhaara KHwab bhi aae to nind puri ho
main so to jaunga nind aane ki dawa le kar
main KHud se dur nikalta gaya udhaDta hua
KHud apni zat se nikla hua sira le kar
tamam shahr ki tamir dhup ne ki hai
milegi chhanw bhi us ka hi aasra le kar
bacha hai mujh mein bas ek aaKHiri sharar 'atish'
koi to aae teri yaad ki hawa le kar
- Book : Chand Dinner per Baitha Hai (Pg. 43)
- Author : Swapnil Tiwari
- Publication : Anybook, Gurgaon (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.