samaya jab se hai wo gul-ezar aankhon mein
samaya jab se hai wo gul-ezar aankhon mein
Munshi Shiv Parshad Wahbi
MORE BYMunshi Shiv Parshad Wahbi
samāyā jab se hai vo gul-ezār āñkhoñ meñ
har ek gul nazar aatā hai ḳhaar āñkhoñ meñ
batāo kis kā huā jām-e-ārzū labrez
ki nashshe kā hai abhī tak ḳhumār āñkhoñ meñ
ye kis ke diid kī mushtāq hai dam-e-āḳhir
ki merī ruuh ko hai intizār āñkhoñ meñ
jo chāhte ho asā Tek kar uThe bīmār
lagāo surma-e-dumbāla-dār āñkhoñ meñ
vo rashk-e-gul jo nahīñ hai hamāre pahlū meñ
ba-rañg-e-ḳhār se fasl-e-bahār āñkhoñ meñ
tumhārī diid ke saude meñ aa gayā sau baar
taḌap taḌap ke dil-e-be-qarār āñkhoñ meñ
isī sabab se to khultī nahīñ hai aañkh mirī
phirā hī kartī hai tasvīr-e-yār āñkhoñ meñ
maiñ dekhtā nahīñ be-vajah sabza-e-nau-ḳhez
kabhī hai sabza-e-ḳhat kī bahār āñkhoñ meñ
misāl-e-mardumak-e-chashm hai ye madd-e-nazar
raheñ huzūr hī lail-o-nahār āñkhoñ meñ
duā ye rahtī hai 'vahbī' ki un ke talve kā
lagā.ūñ surme kī sūrat ġhubār āñkhoñ meñ
samaya jab se hai wo gul-ezar aankhon mein
har ek gul nazar aata hai KHar aankhon mein
batao kis ka hua jam-e-arzu labrez
ki nashshe ka hai abhi tak KHumar aankhon mein
ye kis ke did ki mushtaq hai dam-e-aKHir
ki meri ruh ko hai intizar aankhon mein
jo chahte ho asa Tek kar uThe bimar
lagao surma-e-dumbaala-dar aankhon mein
wo rashk-e-gul jo nahin hai hamare pahlu mein
ba-rang-e-KHar se fasl-e-bahaar aankhon mein
tumhaari did ke saude mein aa gaya sau bar
taDap taDap ke dil-e-be-qarar aankhon mein
isi sabab se to khulti nahin hai aankh meri
phira hi karti hai taswir-e-yar aankhon mein
main dekhta nahin be-wajah sabza-e-nau-KHez
kabhi hai sabza-e-KHat ki bahaar aankhon mein
misal-e-mardumak-e-chashm hai ye madd-e-nazar
rahen huzur hi lail-o-nahaar aankhon mein
dua ye rahti hai 'wahbi' ki un ke talwe ka
lagaun surme ki surat ghubar aankhon mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.