samajh ke sare sahaaron ko raegan humne
samajh ke saare sahāroñ ko rā.egāñ ham ne
utaar pheñkā hai kashtī kā bādbāñ ham ne
ye kam subūt hai mahshar meñ be-gunāhī kā
ki apne hoñToñ pe pherī nahīñ zabāñ ham ne
jo baat chheḌī hai ham ne hameñ bhī 'ilm nahīñ
ki ḳhatm karnā hai is baat ko kahāñ ham ne
dabe dabe haiñ azal se isī liye ham log
uThā.e rakkhā hai kāñdhoñ pe āsmāñ ham ne
uñDel lī hai jahannum kī aag siine meñ
ragoñ meñ bhar liyā dozaḳh kā sab dhuāñ ham ne
faqat guloñ ko nahīñ nazm-e-gulsitāñ se gila
sunā hai ġhaur se kāñToñ kā bhī bayāñ ham ne
ham ek duuje se Darte haiñ is liye 'rāhat'
rakhā hai jannat-o-dozaḳh ko darmiyāñ ham ne
samajh ke sare sahaaron ko raegan hum ne
utar phenka hai kashti ka baadban hum ne
ye kam subut hai mahshar mein be-gunahi ka
ki apne honTon pe pheri nahin zaban hum ne
jo baat chheDi hai hum ne hamein bhi 'ilm nahin
ki KHatm karna hai is baat ko kahan hum ne
dabe dabe hain azal se isi liye hum log
uThae rakkha hai kandhon pe aasman hum ne
unDel li hai jahannum ki aag sine mein
ragon mein bhar liya dozaKH ka sab dhuan hum ne
faqat gulon ko nahin nazm-e-gulsitan se gila
suna hai ghaur se kanTon ka bhi bayan hum ne
hum ek duje se Darte hain is liye 'rahat'
rakha hai jannat-o-dozaKH ko darmiyan hum ne
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.