samajh mein aata nahin hai ki gungunaun kya
samajh meñ aatā nahīñ hai ki gungunā.ūñ kyā
vo ḳhud ġhazal hai use maiñ ġhazal sunā.ūñ kyā
tū sar se paañv talak husn kī alāmat hai
yaqīñ na ho to tujhe ā.īna dikhā.ūñ kyā
maiñ haal dil kā tujhe kis tarah batā.ūñ ab
tū jāntā hai mire dil kī dil dikhā.ūñ kyā
vo rūThe aur manā.ūñ maiñ sochtā huuñ magar
jo rūThtā hī nahīñ ho use manā.ūñ kyā
badan hai tāj-mahal aur āñkheñ sāġhar haiñ
maiñ shauq piine kā apnā tujhe batā.ūñ kyā
vo kah rahā hai yaqīñ karke dekh lo lekin
maiñ jāntā huuñ use 'saif' āzmā.ūñ kyā
samajh mein aata nahin hai ki gungunaun kya
wo KHud ghazal hai use main ghazal sunaun kya
tu sar se panw talak husn ki alamat hai
yaqin na ho to tujhe aaina dikhaun kya
main haal dil ka tujhe kis tarah bataun ab
tu jaanta hai mere dil ki dil dikhaun kya
wo ruThe aur manaun main sochta hun magar
jo ruThta hi nahin ho use manaun kya
badan hai taj-mahal aur aankhen saghar hain
main shauq pine ka apna tujhe bataun kya
wo kah raha hai yaqin karke dekh lo lekin
main jaanta hun use 'saif' aazmaun kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.