samajh mein aati hai baadal ki aah-o-zari ab
samajh meñ aatī hai bādal kī āh-o-zārī ab
vo mehrbān mujhe bhī bahut rulātā hai
mumāsalat hī nahīñ saath rahne vāloñ meñ
koī batā.e mujhe kis se merā naata hai
lagā ki qufl mire ḳhvāb ke darīchoñ ko
tirā ḳhayāl azāboñ se kyuuñ Darātā hai
samajh meñ aatā nahīñ zinda haiñ ki murda haiñ
kabhī to mārtā hai aur kabhī jilātā hai
hazāroñ taare haiñ terī hatheliyoñ meñ magar
tū aa ke ghar se mere chāñd kyuuñ churātā hai
samajh mein aati hai baadal ki aah-o-zari ab
wo mehrban mujhe bhi bahut rulata hai
mumasalat hi nahin sath rahne walon mein
koi batae mujhe kis se mera nata hai
laga ki qufl mere KHwab ke darichon ko
tera KHayal azabon se kyun Daraata hai
samajh mein aata nahin zinda hain ki murda hain
kabhi to marta hai aur kabhi jilata hai
hazaron tare hain teri hatheliyon mein magar
tu aa ke ghar se mere chand kyun churaata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.