samajh mein ye nahin aata ki dil ki KHu kya thi
samajh meñ ye nahīñ aatā ki dil kī ḳhū kyā thī
safar to aaTh pahar kā thā justujū kyā thī
vo ābshār ke paanī sī tab.a rakhtā thā
magar thake hue lahje kī guftugū kyā thī
huī shikast jahāñ fat.h kā yaqīn huā
koī chhupā huā dushman thā aarzū kyā thī
talāsh karte ho kis shai ko is ḳharābe meñ
daraḳht hī na rahe shāḳh-e-rang-o-bū kyā thī
tū āftāb agar thā to kyoñ ġhurūb huā
ye raushnī sī tire baa'd chaar sū kyā thī
daraḳht puḳhta chhateñ toḌ kar nikal aa.e
ye ik azaab hī thā quvvat-e-numū kyā thī
samajh mein ye nahin aata ki dil ki KHu kya thi
safar to aaTh pahar ka tha justuju kya thi
wo aabshaar ke pani si taba rakhta tha
magar thake hue lahje ki guftugu kya thi
hui shikast jahan fath ka yaqin hua
koi chhupa hua dushman tha aarzu kya thi
talash karte ho kis shai ko is KHarabe mein
daraKHt hi na rahe shaKH-e-rang-o-bu kya thi
tu aaftab agar tha to kyon ghurub hua
ye raushni si tere ba'd chaar su kya thi
daraKHt puKHta chhaten toD kar nikal aae
ye ek azab hi tha quwwat-e-numu kya thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.