samajh rahe the ki ab aasman barsega
samajh rahe the ki ab āsmān barsegā
ye soch kab thī ki vo mehrbān barsegā
vo vaqt duur nahīñ jab zamīn vāloñ par
makān TūTegā aur lā-makān barsegā
tumhāre zulm kī āñdhī meñ sar uThāte hue
tumhāre sar pe har ik be-zabān barsegā
gumān kahtā hai merā ki ek din mujh par
tirī vafā tirī chāhat kā maan barsegā
kisī kī aas meñ tanhā jo diip jaltā hai
use bujhāne ko ik imtihān barsegā
samajh rahe the ki ab aasman barsega
ye soch kab thi ki wo mehrban barsega
wo waqt dur nahin jab zamin walon par
makan TuTega aur la-makan barsega
tumhaare zulm ki aandhi mein sar uThate hue
tumhaare sar pe har ek be-zaban barsega
guman kahta hai mera ki ek din mujh par
teri wafa teri chahat ka man barsega
kisi ki aas mein tanha jo dip jalta hai
use bujhane ko ek imtihan barsega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.