samajh rahe the ki ab shab gai sahar aai
samajh rahe the ki ab shab ga.ī sahar aa.ī
tire dayār meñ vo raushnī nazar aa.ī
nishāt-o-ġham kā ta.alluq bhī kyā ta.alluq hai
abhī hañse bhī na the ham ki aañkh bhar aa.ī
manā rahe haiñ manānā thā jin ko jashn-e-bahār
mire nasīb meñ taz.īn-e-bām-o-dar aa.ī
ye aur baat ki sab kuchh kahā ho sach tū ne
mujhe hañsī to tirī baat baat par aa.ī
kamāl hai ye tasavvur kī mashq-e-paiham kā
tire hijāb kī tasvīr bhī utar aa.ī
vasūq-e-azm pe haiñ kāmrāniyāñ mauqūf
ḳhayāl-e-rahguzar aate hī rahguzar aa.ī
balā se ahd-e-bahārāñ ne dil ko zaḳhm diye
'nasīr' sūrat-e-gulzār to nikhar aa.ī
samajh rahe the ki ab shab gai sahar aai
tere dayar mein wo raushni nazar aai
nishat-o-gham ka talluq bhi kya talluq hai
abhi hanse bhi na the hum ki aankh bhar aai
mana rahe hain manana tha jin ko jashn-e-bahaar
mere nasib mein tazin-e-baam-o-dar aai
ye aur baat ki sab kuchh kaha ho sach tu ne
mujhe hansi to teri baat baat par aai
kamal hai ye tasawwur ki mashq-e-paiham ka
tere hijab ki taswir bhi utar aai
wasuq-e-azm pe hain kaamraniyan mauquf
KHayal-e-rahguzar aate hi rahguzar aai
bala se ahd-e-bahaaran ne dil ko zaKHm diye
'nasir' surat-e-gulzar to nikhar aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.