samajh rahe the ki apni sudhar gai duniya
samajh rahe the ki apnī sudhar ga.ī duniyā
hameñ to muft meñ badnām kar ga.ī duniyā
mutālboñ se nahīñ mil sakī najāt kabhī
havas ke zinda taqāzoñ se bhar ga.ī duniyā
har ek aañkh meñ chaḌhtā huā anā kā nasha
har ek harf-e-vafā se mukar ga.ī duniyā
asiir kar ke tabāhī ke mujh ko daldal meñ
batā.e kaun ye mujh ko kidhar ga.ī duniyā
vo kyā hue mire pur-kaif pur-sukūñ lamhe
mujhe talāsh hai jis kī kidhar ga.ī duniyā
kaTī huī hai har ik shāḳh peḌ se 'mohsin'
lo barg-e-ḳhushk sī ab ke bikhar ga.ī duniyā
samajh rahe the ki apni sudhar gai duniya
hamein to muft mein badnam kar gai duniya
mutalbon se nahin mil saki najat kabhi
hawas ke zinda taqazon se bhar gai duniya
har ek aankh mein chaDhta hua ana ka nasha
har ek harf-e-wafa se mukar gai duniya
asir kar ke tabahi ke mujh ko daldal mein
batae kaun ye mujh ko kidhar gai duniya
wo kya hue mere pur-kaif pur-sukun lamhe
mujhe talash hai jis ki kidhar gai duniya
kaTi hui hai har ek shaKH peD se 'mohsin'
lo barg-e-KHushk si ab ke bikhar gai duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.