Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

samajh sake jo meri baat wo kalam kare

Aman Shahzadi

samajh sake jo meri baat wo kalam kare

Aman Shahzadi

MORE BYAman Shahzadi

    samajh sake jo mirī baat vo kalām kare

    nahīñ samajhtā to bas duur se salām kare

    jise bhī chāhiye ḳhairāt meñ mirī āvāz

    vo pahle merī ḳhamoshī ehtirām kare

    kivāḌ khulte varna badan se lipTegī

    use kaho ki udāsī intizām kare

    muāmlāt-e-jahāñ is ke vāste chhoḌe

    aur ek vo hai jo fursat se apne kaam kare

    mujhe sukūñ vo āvāz sun ke aatā hai

    to kyoñ na rabt-e-musalsal vo mere naam kare

    samajh sake jo meri baat wo kalam kare

    nahin samajhta to bas dur se salam kare

    jise bhi chahiye KHairaat mein meri aawaz

    wo pahle meri KHamoshi ka ehtiram kare

    kiwaD khulte hi warna badan se lipTegi

    use kaho ki udasi ka intizam kare

    muamlat-e-jahan is ke waste chhoDe

    aur ek wo hai jo fursat se apne kaam kare

    mujhe sukun hi wo aawaz sun ke aata hai

    to kyon na rabt-e-musalsal wo mere nam kare

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now