samajh sakte nahin jo tere mathe ki shikan saqi
samajh sakte nahīñ jo tere māthe kī shikan saaqī
vo kyā jāneñ ki hai bāda-kashī bhī ek fan saaqī
nikāl un ko subū-o-jām meñ jo farq karte haiñ
tamīz-e-besh-o-kam hai aql kā dīvāna-pan saaqī
takalluf bartaraf ham shauq kī mastī se Darte haiñ
yahī hai rāhbar saaqī yahī hai rāhzan saaqī
nazar aatī hai saarī kā.enāt-e-mai-kada raushan
ye kis ke sāġhar-e-rañgīñ se phūTī hai kiran saaqī
haqīqat ek hai sab kī vo ma.abad ho ki mai-ḳhāna
banātī aa rahī haiñ manzileñ merī thakan saaqī
uThā le jām-o-mīnā ḳhatm kar ye daur-e-mai-noshī
ki yaad aate haiñ mujh ko tishna-kāmān-e-vatan saaqī
pas-e-ḳhum baiTh kar 'ehsān' ko kuchh soch lene de
chhiḌā hai mai-kade meñ qissa-e-dār-o-rasan saaqī
samajh sakte nahin jo tere mathe ki shikan saqi
wo kya jaanen ki hai baada-kashi bhi ek fan saqi
nikal un ko subu-o-jam mein jo farq karte hain
tamiz-e-besh-o-kam hai aql ka diwana-pan saqi
takalluf bartaraf hum shauq ki masti se Darte hain
yahi hai rahbar saqi yahi hai rahzan saqi
nazar aati hai sari kaenat-e-mai-kada raushan
ye kis ke saghar-e-rangin se phuTi hai kiran saqi
haqiqat ek hai sab ki wo mabad ho ki mai-KHana
banati aa rahi hain manzilen meri thakan saqi
uTha le jam-o-mina KHatm kar ye daur-e-mai-noshi
ki yaad aate hain mujh ko tishna-kaaman-e-watan saqi
pas-e-KHum baiTh kar 'ehsan' ko kuchh soch lene de
chhiDa hai mai-kade mein qissa-e-dar-o-rasan saqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.