samajhne wala mera martaba samajhta hai
samajhne vaalā mirā martaba samajhtā hai
so farq paḌtā nahīñ kaun kyā samajhtā hai
ye terī chāragarī merī jaan le legī
na tū mujhe na mirā mas.ala samajhtā hai
maiñ apnī maut ko ab zindagī samajhtā huuñ
maiñ kyuuñ samajhtā huuñ merā ḳhudā samajhtā hai
maiñ ab kahānī se bāhar nikalnā chāhtā huuñ
kahānī-kār mirā mudda.ā samajhtā hai
vo is liye bhī palaT kar kabhī na aa.egā
vo merā haal mirā faisla samajhtā hai
maiñ kah rahā huuñ mujhe thoḌā soch kar samjho
ki ye lage mujhe koī ḳhalā samajhtā hai
zamāna kuchh bhī samajhtā nahīñ hai sach hai ye
isī liye to tujhe bhī mirā samajhtā hai
samajhne wala mera martaba samajhta hai
so farq paDta nahin kaun kya samajhta hai
ye teri chaaragari meri jaan le legi
na tu mujhe na mera masala samajhta hai
main apni maut ko ab zindagi samajhta hun
main kyun samajhta hun mera KHuda samajhta hai
main ab kahani se bahar nikalna chahta hun
kahani-kar mera muddaa samajhta hai
wo is liye bhi palaT kar kabhi na aaega
wo mera haal mera faisla samajhta hai
main kah raha hun mujhe thoDa soch kar samjho
ki ye lage mujhe koi KHala samajhta hai
zamana kuchh bhi samajhta nahin hai sach hai ye
isi liye to tujhe bhi mera samajhta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.