samajhte ho jinhen bekar ke hain
samajhte ho jinheñ bekār ke haiñ
vo patthar bhī isī dīvār ke haiñ
khañDar ke ruup meñ bikhre namūne
mirī TuuTī huī talvār ke haiñ
vo kyā jāneñ kisī ke dil kī qīmat
jo saudāgar lab-o-ruḳhsār ke haiñ
uḌāneñ bharne vaale ye parinde
numā.inda tirī raftār ke haiñ
dahan gesū zabāñ āñkheñ ishāre
sabhī raste lab-e-iz.hār ke haiñ
sitāre chāñd jugnū phuul shabnam
ye sab chehre mire dildār ke haiñ
masāfat dhuup bārish rāh-e-manzil
ka.ī sāmāñ safar āsār ke haiñ
'fahīm' aaya khulī sāñsoñ kā mausam
jahāñ pahre dar-o-dīvār ke haiñ
samajhte ho jinhen bekar ke hain
wo patthar bhi isi diwar ke hain
khanDar ke rup mein bikhre namune
meri TuTi hui talwar ke hain
wo kya jaanen kisi ke dil ki qimat
jo saudagar lab-o-ruKHsar ke hain
uDanen bharne wale ye parinde
numainda teri raftar ke hain
dahan gesu zaban aankhen ishaare
sabhi raste lab-e-izhaar ke hain
sitare chand jugnu phul shabnam
ye sab chehre mere dildar ke hain
masafat dhup barish rah-e-manzil
kai saman safar aasar ke hain
'fahim' aaya khuli sanson ka mausam
jahan pahre dar-o-diwar ke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.