samar-ruton mein to jhuk kar guzarna hoga
samar-rutoñ meñ to jhuk kar guzārnā hogā
shajar ko sang-e-malāmat sahārnā hogā
jo barf-zād haiñ teshe shuāoñ ke de kar
unheñ bhī taaza safar par ubhārnā hogā
karīm baap kī sūrat jadīd nasloñ ko
baḌe hunar se hamī ko sudhārnā hogā
jo zehn siim kī yalġhār se hue banjar
unheñ bhī husn-e-amal se sañvārnā hogā
laboñ pe phuul khilā.eñ diloñ ko raam kareñ
ḳhabar nahīñ kise kis din sudhārnā hogā
vo bastiyāñ jinheñ tārāj kar gayā dariyā
jadīd rang se un ko usārnā hogā
vo jin ko quvvat-o-mansab atā kiyā tū ne
mire ḳhudā unheñ yazdāñ pukārnā hogā
jalānā hoñgī hameñ kashtiyāñ lab-e-dariyā
ki yuuñ bhī josh-e-hamiyyat ubhārnā hogā
salīb-e-shab pe ubharnā hai shaan se 'aḳhtar'
sahar kā qarz hamī ko utārnā hogā
samar-ruton mein to jhuk kar guzarna hoga
shajar ko sang-e-malamat sahaarna hoga
jo barf-zad hain teshe shuaon ke de kar
unhen bhi taza safar par ubhaarna hoga
karim bap ki surat jadid naslon ko
baDe hunar se hami ko sudhaarna hoga
jo zehn sim ki yalghaar se hue banjar
unhen bhi husn-e-amal se sanwarna hoga
labon pe phul khilaen dilon ko ram karen
KHabar nahin kise kis din sudhaarna hoga
wo bastiyan jinhen taraj kar gaya dariya
jadid rang se un ko usarna hoga
wo jin ko quwwat-o-mansab ata kiya tu ne
mere KHuda unhen yazdan pukarna hoga
jalana hongi hamein kashtiyan lab-e-dariya
ki yun bhi josh-e-hamiyyat ubhaarna hoga
salib-e-shab pe ubharna hai shan se 'aKHtar'
sahar ka qarz hami ko utarna hoga
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.