samay ki naw se bahar nikal nahin hota
samay kī naav se bāhar nikal nahīñ hotā
yahāñ bas aaj hai aur aaj kal nahīñ hotā
añdherā ghaTtā nahīñ hai charāġh bujhne se
koī bhī mas.ala marne se hal nahīñ hotā
har ek phuul kī ḳhushbū kā zā.iqa hai alag
har ek chiiz kā nemul-badal nahīñ hotā
bas ik qadam kī masāfat pe hai mirī manzil
magar maiñ kyā karūñ ab mujh se chal nahīñ hotā
har ek ḳhvāb ko ta.abīr mil nahīñ saktī
har ek peḌ kī qismat meñ phal nahīñ hotā
samay ki naw se bahar nikal nahin hota
yahan bas aaj hai aur aaj kal nahin hota
andhera ghaTta nahin hai charagh bujhne se
koi bhi masala marne se hal nahin hota
har ek phul ki KHushbu ka zaiqa hai alag
har ek chiz ka nemul-badal nahin hota
bas ek qadam ki masafat pe hai meri manzil
magar main kya karun ab mujh se chal nahin hota
har ek KHwab ko tabir mil nahin sakti
har ek peD ki qismat mein phal nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.