sambhal hi lenge musalsal tabah hon to sahi
sambhal hī leñge musalsal tabāh hoñ to sahī
azāb-e-zīst meñ rashk-e-gunāh hoñ to sahī
kahīñ to sāhil-e-nā-yāft kā nishāñ hogā
jalā ke ḳhud ko taqāzā-e-āh hoñ to sahī
majāl kyā ki na manzil bane nishān-e-vafā
safīr-e-ḳhud-nigrāñ gard-e-rāh hoñ to sahī
sadā-ba-dasht banegī na ye lahū kī tapish
lahū ke chhīñTe magar gaah gaah hoñ to sahī
sambhal hi lenge musalsal tabah hon to sahi
azab-e-zist mein rashk-e-gunah hon to sahi
kahin to sahil-e-na-yaft ka nishan hoga
jala ke KHud ko taqaza-e-ah hon to sahi
majal kya ki na manzil bane nishan-e-wafa
safir-e-KHud-nigran gard-e-rah hon to sahi
sada-ba-dasht banegi na ye lahu ki tapish
lahu ke chhinTe magar gah gah hon to sahi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.