sameT laen chalo chal ke apne KHwab ke phul
sameT laa.eñ chalo chal ke apne ḳhvāb ke phuul
ki in dinoñ kahīñ khilte nahīñ gulāb ke phuul
tire laboñ kī tarah mere zaḳhm kī mānind
hare-bhare haiñ abhī tak mirī kitāb ke phuul
baḌā mazā ho agar donoñ jam.a ho jaa.eñ
tire savāl ke patthar mire javāb ke phuul
na jhāñk āñkhoñ ke andar ki in dinoñ ham bhī
hatheliyoñ pe ugāte haiñ āftāb ke phuul
bas ik havas thī āñkhoñ meñ bhar liye varna
chubhan sī de ke guzarte rahe shabāb ke phuul
sameT laen chalo chal ke apne KHwab ke phul
ki in dinon kahin khilte nahin gulab ke phul
tere labon ki tarah mere zaKHm ki manind
hare-bhare hain abhi tak meri kitab ke phul
baDa maza ho agar donon jama ho jaen
tere sawal ke patthar mere jawab ke phul
na jhank aankhon ke andar ki in dinon hum bhi
hatheliyon pe ugate hain aaftab ke phul
bas ek hawas thi aankhon mein bhar liye warna
chubhan si de ke guzarte rahe shabab ke phul
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.