samjhe the be-KHabar jinhen hushyar wo bhi hain
samjhe the be-KHabar jinhen hushyar wo bhi hain
Masood Akhtar Jamal
MORE BYMasood Akhtar Jamal
samjhe the be-ḳhabar jinheñ hushyār vo bhī haiñ
saaqī is anjuman ke nigah-dār vo bhī haiñ
jin ke lahū se dāman-e-sahrā hai lāla-rang
ai nargis-e-chaman tire bīmār vo bhī haiñ
arbāb-e-mai-kada se 'abas zid hai shaiḳh ko
ḳhush-fikr-o-ḳhush-mizāj-o-ḳhush-atvār vo bhī haiñ
la.a-e-girāñ-bahā ko samajhte haiñ jo ḳhazaf
yā-rab matā-e-dil ke ḳharīdār vo bhī haiñ
chup haiñ vo sun ke aaj mirī dāstān-e-ġham
insāf kyā kareñ ki ḳhatāvār vo bhī haiñ
taufīq jin ko ma.asiyat-e-ishq kī nahīñ
ai rahmat-e-tamām gunahgār vo bhī haiñ
ḳhud apne haal kī bhī jinheñ kuchh ḳhabar nahīñ
dair-o-haram ke mahram-e-asrār vo bhī haiñ
bad-tar haiñ dushmanoñ se kuchh aise bhī haiñ rafīq
jin ko shu'ūr-e-ġham nahīñ ġham-ḳhvār vo bhī haiñ
samjhe haiñ jo hayāt ko ḳhvāb-e-girāñ 'jamāl'
zid hai unheñ ki shā.ir-e-bedār vo bhī haiñ
samjhe the be-KHabar jinhen hushyar wo bhi hain
saqi is anjuman ke nigah-dar wo bhi hain
jin ke lahu se daman-e-sahra hai lala-rang
ai nargis-e-chaman tere bimar wo bhi hain
arbab-e-mai-kada se 'abas zid hai shaiKH ko
KHush-fikr-o-KHush-mizaj-o-KHush-atwar wo bhi hain
la-e-giran-baha ko samajhte hain jo KHazaf
ya-rab mata-e-dil ke KHaridar wo bhi hain
chup hain wo sun ke aaj meri dastan-e-gham
insaf kya karen ki KHatawar wo bhi hain
taufiq jin ko masiyat-e-ishq ki nahin
ai rahmat-e-tamam gunahgar wo bhi hain
KHud apne haal ki bhi jinhen kuchh KHabar nahin
dair-o-haram ke mahram-e-asrar wo bhi hain
bad-tar hain dushmanon se kuchh aise bhi hain rafiq
jin ko shu'ur-e-gham nahin gham-KHwar wo bhi hain
samjhe hain jo hayat ko KHwab-e-giran 'jamal'
zid hai unhen ki shair-e-bedar wo bhi hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.