samjhen bhi donon kar rahi hain kya ye chaar panch
samjhen bhi donon kar rahi hain kya ye chaar panch
Shaida Allahabadi
MORE BYShaida Allahabadi
samjheñ bhī donoñ kar rahī haiñ kyā ye chaar pāñch
lauñDī ke yaar chaar haiñ biibī ke yaar pāñch
ab to sharīf-zādiyāñ kartī haiñ chaar pāñch
ḳhānam ke yaar chaar haiñ begam ke yaar pāñch
kal saat aadmī the jinhoñ ne kiyā ye haal
do to safed-posh the biibī gañvār pāñch
duniyā sarā hai beTiyoñ is kā shumār kyā
aate hī jaate rahte haiñ har roz chaar pāñch
in marduoñ ne sahl samajh lī hai naukrī
maañg ek kī hai aa.e haiñ umīd-vār pāñch
gintī jo yaad kartī hai din bhar ye chhokrī
sote meñ bhī pukārtī hai tiin chaar pāñch
dekhā jo das kā note jhaTak le ga.iiñ dasoñ
pahle to sirf māñgtī thiiñ vo udhār pāñch
samdhan batāo kis kā galā ab dabā.ūñ maiñ
chhe marduoñ meñ tum ne mañgā.e haiñ haar pāñch
bhārī hai das javānoñ pe rustam kī ye bahū
lagte haiñ pālkī meñ do tarfa kahār pāñch
thī panjatan kī yaad jo thī jāñkanī ke vaqt
muñh se mire nikal gayā be-iḳhtiyār pāñch
chaar aadmī ke sāmne kai de ga.iiñ thī tum
ab kaun māntā hai kaho tum hazār pāñch
pān.cho savāroñ meñ to vo ḳhud bhī the kyoñ na aa.e
mujh ek ke pakaḌne ko bheje savār pāñch
'shaidā' kahāñ se sīkhe ye gun us ne āḳhirash
mayyā to jāntī hī na thī us kī chaar pāñch
samjhen bhi donon kar rahi hain kya ye chaar panch
launDi ke yar chaar hain bibi ke yar panch
ab to sharif-zadiyan karti hain chaar panch
KHanam ke yar chaar hain begam ke yar panch
kal sat aadmi the jinhon ne kiya ye haal
do to safed-posh the bibi ganwar panch
duniya sara hai beTiyon is ka shumar kya
aate hi jate rahte hain har roz chaar panch
in marduon ne sahl samajh li hai naukri
mang ek ki hai aae hain umid-war panch
ginti jo yaad karti hai din bhar ye chhokri
sote mein bhi pukarti hai tin chaar panch
dekha jo das ka note jhaTak le gain dason
pahle to sirf mangti thin wo udhaar panch
samdhan batao kis ka gala ab dabaun main
chhe marduon mein tum ne mangae hain haar panch
bhaari hai das jawanon pe rustam ki ye bahu
lagte hain palki mein do tarfa kahaar panch
thi panjatan ki yaad jo thi jaankani ke waqt
munh se mere nikal gaya be-iKHtiyar panch
chaar aadmi ke samne kai de gain thi tum
ab kaun manta hai kaho tum hazar panch
pancho sawaron mein to wo KHud bhi the kyon na aae
mujh ek ke pakaDne ko bheje sawar panch
'shaida' kahan se sikhe ye gun us ne aaKHirash
mayya to jaanti hi na thi us ki chaar panch
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.