samjhen jo mere gham ko wo apne nahin rahe
samjheñ jo mere ġham ko vo apne nahīñ rahe
jhūTe bahut haiñ shahr meñ sachche nahīñ rahe
tū ne to apnī ziist bhī kar lī basar magar
tujh se bichhaḌ ke ham to kahīñ ke nahīñ rahe
ham ḳhush hue sabhī kī taraqqī ko dekh kar
lekin tumhārī tarah sulagte nahīñ rahe
kal to kisī bhī raah meñ ḳhauf-o-ḳhatar na thā
mahfūz aaj shahr ke raste nahīñ rahe
rāh-e-vafā meñ mushkileñ aa.ī to thiiñ bahut
lekin ham apnī raah badalte nahīñ rahe
jab se hayāt ashk-e-nadāmat se dhoī hai
ā.īna-e-hayāt pe dhabbe nahīñ rahe
jo hukm-e-vāldain kī ta.amīl kar sakeñ
is daur meñ 'hilāl' vo bachcha nahīñ rahe
samjhen jo mere gham ko wo apne nahin rahe
jhuTe bahut hain shahr mein sachche nahin rahe
tu ne to apni zist bhi kar li basar magar
tujh se bichhaD ke hum to kahin ke nahin rahe
hum KHush hue sabhi ki taraqqi ko dekh kar
lekin tumhaari tarah sulagte nahin rahe
kal to kisi bhi rah mein KHauf-o-KHatar na tha
mahfuz aaj shahr ke raste nahin rahe
rah-e-wafa mein mushkilen aai to thin bahut
lekin hum apni rah badalte nahin rahe
jab se hayat ashk-e-nadamat se dhoi hai
aaina-e-hayat pe dhabbe nahin rahe
jo hukm-e-waldain ki tamil kar saken
is daur mein 'hilal' wo bachcha nahin rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.